Archive for the ‘Ghazal’ Category
Ranjish hi sahi – Ghazal
I can’t say that I am ghazal lover but there are some ghazals that leave mark in your life and such one ghazal is this…hey do listen atleast once. I have given the lyrics down…this song is dedicated to u…and if u read u will know who it is for…
ranjish hii sahii dil hii dukhaane ke liye aa
aa phir se mujhe chhod ke jaane ke liye aa
pahale se maraasim na sahii phir bhii kabhii to
rasm-o-rahe duniyaa hii niibhaane ke liye aa
kis kis ko bataayenge judaaii kaa sabab ham
tuu mujh se khafaa hai to zamaane ke liye aa
kuchh to mere pindaar-e-muhabbat ka bharam rakh
tuu bhii to kabhii mujh ko manaane ke liye aa
ek umr se huun lazzat-e-giriyaa se bhii maharuum
ai raahat-e-jaan mujh ko rulaane ke liye aa
ab tak dil-e-khushfaham ko tujh se hain ummiiden
ye aakhirii shammein bhii bujhaane ke liye aa
maanaa ki muhabbat kaa chhipaanaa hai muhabbat
chupake se kisii roz jataane ke liye aa
jaise tujhe aate hain na aane ke bahaane
aise hii kisii roz na jaane ke liye aa
Zindagi Kya Hai Lyrics
Lyrics
Aadmi bul bula ha pani ka
Aur pani ki behte sat hai par
Tootha bhi hai doobtha bhi hai
Phir ubartha hai phir se woh behta hai
Na samundar nigal saka usko
Na dawari hathod payi hai
Waqt hi mauj par sada behta
Aadmi bul bula ha pani ka
Zindagi kya hai jaanne ke liye
Zinda rehna bahot jaroori hai
Aaj tak koi bhi raha to nahin
Saari waadi udas baithi hai
Mausam-e-gul ne khudkashi karli
kisne barood boya baagon mein
Aao hum sab pehenle aaine
Saare dekhenge apna hi chehra
Sabko saarein haseen lagenge yahan
Hai nahin jo dikhaii deta hai
Aaine par chapa huwa chehra
Tarjumah aaine ka thik nahin
Humko Ghalib ne yeh duwa di thi
Tum salamat raho hazar baras
Yeh baras to faqat dino mein gaya
Lab tere Mir ne bhi dekhe hai
pankhari ek gulab ki si hai
baat sunte to Ghalib ho jaate
Aise bikhre hai raat din jaise
Motiyon wala haar tuth gaya
Tumne mujhko pidoke rakha tha