Posts Tagged ‘Luck by Chance’
O Rahi Re Lyrics – Luck By Chance
Lyrics
jaag uthe hain raaste
o rahi tere vaaste
teri zindagi…
tujhse har ghadi…
aur har kadam…
hai yeh poochti…
rahi dekh raha hai tu kya
har har disha… hai rastaa…
bol tera hai kaunsa rastaa
rahi re o rahi re
kisi ko nahi hai pata
rahi re o rahi re
kahaan ja raha hai bata
ik raasta kaanton ka hai
ik raasta phool ka
tujhpe hai kaun se
tu raaste ko chune
ik raats hai soch ka
ik raasta bhool ka
tujhpe hai tera dil
ab kya kahe kya sune
hoga tera hi yeh faisla
hai sochna ya bhoolna
bol tera hai kaunsa rastaa
rahi re o rahi re
kisi ko nahi hai pata
o rahi re o rahi re
kahaan ja raha hai bata
aasaaniyaan mil sakti hain tujhko zamaane se
par zara yeh bata
jeena hai kya yun tujhe
aazaadiyaan tu paayega
khud ko hi paane se
phir bata koi dar
mehsoos ho kyun tujhe
hoga tera hi yeh faisla
aasaaniyaan …
aazaadiyaan …
bol tera hai kaunsa rastaa
rahi re o rahi re
kisi ko nahi hai pata
rahi re o rahi re
kahaan ja raha hai bata
rahi re o rahi re
kisi ko nahi hai pata
rahi re o rahi re
kahaan ja raha hai bata
Yeh Aaj Kya Ho Gaya? Lyrics – Luck By Chance
Lyrics
sooraj meri khidki se jo hai jhaankta
kirnon ko jaise mil gaya hai raasta
hansti hui aa gayeen
Ooo…
kamre mein jitni neend thi sab ud gayi
ummeed jaate jaate vaapas mud gayi
laut aayi hai phir yaheen
Ooo…
jaane yeh sab kya hai
jo bhi hai naya sa hai
hairat mein dil kho gaya
yeh aaj kya ho gaya?
duniya hi badalne ko hai
zindagi savarne ko hai
jaane kyun yeh mujhko hai laga
lachki hai jo dil ki daali
kaliyaan ab hain khilne waali
haule haule paas aake dheeme se gaayen havaaen
jaane yeh sab kya hai
jo bhi hai naya sa hai
hairat mein dil kho gaya
yeh aaj kya ho gaya?
sach baari baari ho rahein sab khaab hain
panchi udaanen bharne ko betaab hai
aankhon mein hai aasmaan
Ooo…
resham ke jaise narmi hai har baat mein
ujle hain din aur chaandni hai raat mein
har lamha hai meherbaan
Ooo…
jaane yeh sab kya hai
jo bhi ha naya sa hai
hairat mein dil kho gaya
yeh aaj kya ho gaya?