Yeh Aaj Kya Ho Gaya? Lyrics – Luck By Chance

Lyrics

sooraj meri khidki se jo hai jhaankta
kirnon ko jaise mil gaya hai raasta
hansti hui aa gayeen
Ooo…

kamre mein jitni neend thi sab ud gayi
ummeed jaate jaate vaapas mud gayi
laut aayi hai phir yaheen
Ooo…

jaane yeh sab kya hai
jo bhi hai naya sa hai
hairat mein dil kho gaya
yeh aaj kya ho gaya?

duniya hi badalne ko hai
zindagi savarne ko hai
jaane kyun yeh mujhko hai laga
lachki hai jo dil ki daali
kaliyaan ab hain khilne waali
haule haule paas aake dheeme se gaayen havaaen

jaane yeh sab kya hai
jo bhi hai naya sa hai
hairat mein dil kho gaya
yeh aaj kya ho gaya?

sach baari baari ho rahein sab khaab hain
panchi udaanen bharne ko betaab hai
aankhon mein hai aasmaan
Ooo…

resham ke jaise narmi hai har baat mein
ujle hain din aur chaandni hai raat mein
har lamha hai meherbaan
Ooo…

jaane yeh sab kya hai
jo bhi ha naya sa hai
hairat mein dil kho gaya
yeh aaj kya ho gaya?

Tags:

Leave a Reply